Aapki padhai bina kisi rukaawat ke ho, isliye humne kuch aasan aur zaroori niyam banaye hain. Kripya inka sath dein.
Membership active rakhne ke liye niche diye gaye terms se agree karna zaroori hai:
Aapki presence sirf Check-In/Check-Out logs se tay hoti hai. Agar aap bina check-in kiye aate hain ya class chhod kar kahin bahar jaate hain, toh humari koi liability nahi hogi.
Campus ke andar ya bahar kisi bhi ladai-jhagde ya illegal activity ke liye aap khud zimmedar honge. Isse juda koi bhi legal ya police matter hota hai, toh uske jawabdeh aap aur aapke parents honge.
Apne mobile, laptop aur cycle/bike ka dhyan khud rakhein. Chori ya kisi nuksan ke liye library management zimmedar nahi hoga.
Achanak tabiyat kharab hone par humari team poori madad karegi, par koi medical ya financial liability management ki nahi hogi.
Agar aap library ke kisi asset (jaise chair, desk ya AC) ko nuksan pahunchate hain, toh uski bharpai ka fine aapko dena hoga.
"Upar diye gaye rules ko lagatar ignore karne par, bina kisi fee refund ke aapki membership cancel ki ja sakti hai."